Monday, January 6, 2020

Gandhiji ka desh

Khoon se Nadiya bhar gai
bhara nahi kyu tera Mann,

Bhno ne bhai khoye hai
laal pade hain odh Kafan,

Gandhiji ke Desh mein kesa
ye kohr am macha hai,

Ins ano ke bhes mein kyu
tune shaitan Racha hai,

Dekh kar ye haal z amin ka
Tadap utha ab Neel Gagan,

Khoon se Nadiya bhar gai
Bhara nahi kyu tera Mann,

Un janbazo ki mehrbani se 
Khil gaya sangeen watan,

Un veero ki qurbani se
Hai chahak raha har taraf Aman,

matrabhumi ke un putro ko
Dil se karti hu naman,

Khoon se nadiya bhar
Par bhara nahi kyu tera mann...!!!

-Sommya Bhardwaj

1 comment: